KHana-e-dil ki tarah sari faza hai ki nahin
ḳhāna-e-dil kī tarah saarī fazā hai ki nahīñ
kis ko ma.alūm ki bāhar bhī havā hai ki nahīñ
jashn barpā to huā thā dam-e-ruḳhsat lekin
vahī hañgāma mire ba.ad bapā hai ki nahīñ
pūchhtā hai ye har ik ḳhār-e-sar-e-dasht-e-junūñ
aane vaalā bhī koī ābla-pā hai ki nahīñ
dekh to jā ke masīhā-e-ġham-e-ishq use
haath ab tak yūñhī siine pe dharā hai ki nahīñ
dil ke tārīk dar-o-bām se aksar tirā ġham
pūchhtā hai ki koī mere sivā hai ki nahīñ
maiñ kahīñ huuñ ki nahīñ huuñ vo kabhī thā ki na thā
tū hī kah de ye suḳhan be-sar-o-pā hai ki nahīñ
faisla lauT ke jaane kā hai kitnā mushkil
kis se pūchhūñ vo mujhe bhuul chukā hai ki nahīñ
maiñ to vāraftagī-e-shauq meñ jaatā huuñ udhar
nahīñ ma.alūm vo āġhosh bhī vā hai ki nahīñ
jaane kyā rañg chaman kā hai dam-e-sub.h-e-firāq
gul khile haiñ ki nahīñ bād-e-sabā hai ki nahīñ
ai shab-e-hijr zarā der ko bahle to ye dil
dekh 'irfān' kahīñ naġhma-sarā hai ki nahīñ
KHana-e-dil ki tarah sari faza hai ki nahin
kis ko malum ki bahar bhi hawa hai ki nahin
jashn barpa to hua tha dam-e-ruKHsat lekin
wahi hangama mere baad bapa hai ki nahin
puchhta hai ye har ek KHar-e-sar-e-dasht-e-junun
aane wala bhi koi aabla-pa hai ki nahin
dekh to ja ke masiha-e-gham-e-ishq use
hath ab tak yunhi sine pe dhara hai ki nahin
dil ke tarik dar-o-baam se aksar tera gham
puchhta hai ki koi mere siwa hai ki nahin
main kahin hun ki nahin hun wo kabhi tha ki na tha
tu hi kah de ye suKHan be-sar-o-pa hai ki nahin
faisla lauT ke jaane ka hai kitna mushkil
kis se puchhun wo mujhe bhul chuka hai ki nahin
main to waraftagi-e-shauq mein jata hun udhar
nahin malum wo aaghosh bhi wa hai ki nahin
jaane kya rang chaman ka hai dam-e-subh-e-firaq
gul khile hain ki nahin baad-e-saba hai ki nahin
ai shab-e-hijr zara der ko bahle to ye dil
dekh 'irfan' kahin naghma-sara hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.