KHamosh raat mein kuchh yun tujhe sada denge
ḳhamosh raat meñ kuchh yuuñ tujhe sadā deñge
ki chāñd ko bhī tire saath ham jagā deñge
bhalā ye taaza rah-o-rasm ḳhaak degī hameñ
purāne yaar koī zaḳhm to nayā deñge
akele ham pe hai rusvā.iyoñ kā bojh itnā
ki shāyad ab to tirā naam bhī batā deñge
ham us se tark-e-ta'alluq ke baa'd sochte haiñ
kise salām kareñge kise du'ā deñge
chalo safar hī kaTegā kuchh apnā haal kaho
jo ham pe 'ishq meñ biitī hai ham sunā deñge
KHamosh raat mein kuchh yun tujhe sada denge
ki chand ko bhi tere sath hum jaga denge
bhala ye taza rah-o-rasm KHak degi hamein
purane yar koi zaKHm to naya denge
akele hum pe hai ruswaiyon ka bojh itna
ki shayad ab to tera nam bhi bata denge
hum us se tark-e-ta'alluq ke ba'd sochte hain
kise salam karenge kise du'a denge
chalo safar hi kaTega kuchh apna haal kaho
jo hum pe 'ishq mein biti hai hum suna denge
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 70)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.