KHamoshi mein guzara kar raha hun
ḳhamoshī meñ guzāra kar rahā huuñ
isī se shor paidā kar rahā huuñ
nayā rishta bane is 'umr meñ kyā
purāne ko purānā kar rahā huuñ
mire rone pe mujh ko Tokiye mat
kamā.ī hai to ḳharcha kar rahā huuñ
mohabbat ne diye jo zaḳhm mujh ko
unheñ nafrat se achchhā kar rahā huuñ
ye duniyā kyā mirī nazroñ meñ aa.e
baḌe ḳhvāboñ kā pīchhā kar rahā huuñ
sañbhaltā huuñ to ye lagtā hai mujh ko
tumhāre saath dhokā kar rahā huuñ
tabīboñ meñ ghirā rahtā huuñ 'shāriq'
maraz ko jān-levā kar rahā huuñ
KHamoshi mein guzara kar raha hun
isi se shor paida kar raha hun
naya rishta bane is 'umr mein kya
purane ko purana kar raha hun
mere rone pe mujh ko Tokiye mat
kamai hai to KHarcha kar raha hun
mohabbat ne diye jo zaKHm mujh ko
unhen nafrat se achchha kar raha hun
ye duniya kya meri nazron mein aae
baDe KHwabon ka pichha kar raha hun
sanbhalta hun to ye lagta hai mujh ko
tumhaare sath dhoka kar raha hun
tabibon mein ghira rahta hun 'shaariq'
maraz ko jaan-lewa kar raha hun
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 32)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.