KHayal dauDa nigah uTThi qalam ne likkha zaban boli
KHayal dauDa nigah uTThi qalam ne likkha zaban boli
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
ḳhayāl dauḌā nigāh uTThī qalam ne likkhā zabān bolī
magar vahī dil kī uljhaneñ haiñ kisī ne is kī girah na kholī
latāfatoñ ke nazākatoñ ke 'ajīb mazmūn haiñ chaman meñ
sabā ne jhaTkā hai apnā dāman masak ga.ī hai kalī kī cholī
ḳhayāl shā'ir kā hai nirālā ye kah gayā ek kahne vaalā
shabāb ke saath yuuñ hai rindī ki jaise phāgun ke saath holī
kaho ye rindān-e-asia se ki bazm-e-ishrat ke ThāTh badle
uḌan-khaTolā hai ab misoñ kā ga.ī parījān kī vo Dolī
KHayal dauDa nigah uTThi qalam ne likkha zaban boli
magar wahi dil ki uljhanen hain kisi ne is ki girah na kholi
latafaton ke nazakaton ke 'ajib mazmun hain chaman mein
saba ne jhaTka hai apna daman masak gai hai kali ki choli
KHayal sha'ir ka hai nirala ye kah gaya ek kahne wala
shabab ke sath yun hai rindi ki jaise phagun ke sath holi
kaho ye rindan-e-asia se ki bazm-e-ishrat ke ThaTh badle
uDan-khaTola hai ab mison ka gai parijaan ki wo Doli
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 81)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.