khinch kar tu le gaya hai jis taraf banta nahin
khīñch kar tū le gayā hai jis taraf bantā nahīñ
tū yaqīnan baat merī Thiik se samjhā nahīñ
merī chup kī guftugū ko sunñe vaale chup rahe
aur bhī kuchh bolnā thā aur maiñ bolā nahīñ
'umr saarī kaT ga.ī donoñ kī darvāze ke paas
maiñ ne dastak dī nahīñ aur us ne dar kholā nahīñ
tere raste meñ paḌā thā ek patthar kī tarah
phir tirī Thokar lagī aur maiñ kahīñ Thahrā nahīñ
ik jagah par chhoḌ kar ḳhud ko maiñ aage chal diyā
aur phir maiñ vāpsī par us jagah par thā nahīñ
rū-barū mere vahī hai chār-sū mere vahī
ek muddat se jo mere sāmne aayā nahīñ
sānahe kī aur kaisī shakl hotī hai 'uzair'
us ne dil pe haath rakkhā aur dil dhaḌkā nahīñ
khinch kar tu le gaya hai jis taraf banta nahin
tu yaqinan baat meri Thik se samjha nahin
meri chup ki guftugu ko sunne wale chup rahe
aur bhi kuchh bolna tha aur main bola nahin
'umr sari kaT gai donon ki darwaze ke pas
main ne dastak di nahin aur us ne dar khola nahin
tere raste mein paDa tha ek patthar ki tarah
phir teri Thokar lagi aur main kahin Thahra nahin
ek jagah par chhoD kar KHud ko main aage chal diya
aur phir main wapsi par us jagah par tha nahin
ru-baru mere wahi hai chaar-su mere wahi
ek muddat se jo mere samne aaya nahin
sanahe ki aur kaisi shakl hoti hai 'uzair'
us ne dil pe hath rakkha aur dil dhaDka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.