Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud apni aanch se ek shaKHs jal gaya mujh mein

Shafi Zamin

KHud apni aanch se ek shaKHs jal gaya mujh mein

Shafi Zamin

MORE BYShafi Zamin

    ḳhud apnī aañch se ik shaḳhs jal gayā mujh meñ

    ye maiñ nahīñ huuñ to phir kaun Dhal gayā mujh meñ

    ye kis ne chhed ke rakh mirī anā sipar

    ye kaun tiir mānind chal gayā mujh meñ

    phir us yaad meñ dil be-qarār rahne lagā

    phir ek baar ye patthar pighal gayā mujh meñ

    ye aa.ine meñ mire aks ke sivā kyā thā

    ki ek shaḳhs achānak dahal gayā mujh meñ

    kuchh aise habs bhare roz-o-shab mile mujh ko

    ki ek paa.e fankār gal gayā mujh meñ

    kisī taraf se sahārā milā na jab koī

    to ek Doltā insāñ sambhal gayā mujh meñ

    dhanak ke rañg bhalā kaun chhū sakā 'zāmin'

    ye aaj kyuuñ mirā bachpan machal gayā mujh meñ

    KHud apni aanch se ek shaKHs jal gaya mujh mein

    ye main nahin hun to phir kaun Dhal gaya mujh mein

    ye kis ne chhed ke rakh di meri ana ki sipar

    ye kaun tir ki manind chal gaya mujh mein

    phir us ki yaad mein dil be-qarar rahne laga

    phir ek bar ye patthar pighal gaya mujh mein

    ye aaine mein mere aks ke siwa kya tha

    ki ek shaKHs achanak dahal gaya mujh mein

    kuchh aise habs bhare roz-o-shab mile mujh ko

    ki ek pae ka fankar gal gaya mujh mein

    kisi taraf se sahaara mila na jab koi

    to ek Dolta insan sambhal gaya mujh mein

    dhanak ke rang bhala kaun chhu saka 'zamin'

    ye aaj kyun mera bachpan machal gaya mujh mein

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 556)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now