KHuda ki hasti ko yaad rakhna aur apni hasti ko bhul jaana
KHuda ki hasti ko yaad rakhna aur apni hasti ko bhul jaana
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
ḳhudā kī hastī ko yaad rakhnā aur apnī hastī ko bhuul jaanā
nazar usī par hai aur bātoñ ko maiñ ne bilkul fuzūl jaanā
junūñ ham aisoñ ko kyā ta'ajjub bahār kā hai samāñ hī aisā
sabā kā aThkheliyoñ se chalnā ḳhushī se kaliyoñ kā phuul jaanā
jahān-e-fānī kī anjuman meñ yahī tasalsul hamesha dekhā
umiid ke saath shaad aanā uThā ke sadme malūl jaanā
KHuda ki hasti ko yaad rakhna aur apni hasti ko bhul jaana
nazar usi par hai aur baaton ko main ne bilkul fuzul jaana
junun hum aison ko kya ta'ajjub bahaar ka hai saman hi aisa
saba ka aThkheliyon se chalna KHushi se kaliyon ka phul jaana
jahan-e-fani ki anjuman mein yahi tasalsul hamesha dekha
umid ke sath shad aana uTha ke sadme malul jaana
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 114)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.