KHushbu hai agar yar to KHushbu pe fida main
KHushbu hai agar yar to KHushbu pe fida main
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
ḳhushbū hai agar yaar to ḳhushbū pe fidā maiñ
vo husn charāġhoñ kā charāġhoñ kī ziyā maiñ
kartā huuñ safar guzre zamānoñ kā shab-o-roz
rahtā nahīñ ik lamha buzurgoñ se judā maiñ
duniyā ke jazīroñ meñ tirā bhed na paayā
hālāñki ḳhalāoñ meñ bhī har samt gayā maiñ
shāyad koī zarḳhez bhañvar yaad kā ubhrā
kal raat kisī aañkh se bahtā hī rahā maiñ
maare haiñ ġham-e-zīst ne pur-dard tamāñche
lekin kisī manzil pe nahīñ thak ke girā maiñ
hairat kī nigāhoñ se sabhī dekh rahe the
jab kūcha-e-jānāñ meñ gayā ban ke gadā maiñ
'jāmī' mirī guftār kisī par na khulī thī
sab log purāne the faqat ek nayā maiñ
KHushbu hai agar yar to KHushbu pe fida main
wo husn charaghon ka charaghon ki ziya main
karta hun safar guzre zamanon ka shab-o-roz
rahta nahin ek lamha buzurgon se juda main
duniya ke jaziron mein tera bhed na paya
haalanki KHalaon mein bhi har samt gaya main
shayad koi zarKHez bhanwar yaad ka ubhra
kal raat kisi aankh se bahta hi raha main
mare hain gham-e-zist ne pur-dard tamanche
lekin kisi manzil pe nahin thak ke gira main
hairat ki nigahon se sabhi dekh rahe the
jab kucha-e-jaanan mein gaya ban ke gada main
'jami' meri guftar kisi par na khuli thi
sab log purane the faqat ek naya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.