KHushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hun
ḳhushī kī baat hai yā dukh kā manzar dekh saktī huuñ
tirī āvāz kā chehra maiñ chhū kar dekh saktī huuñ
abhī tere laboñ pe zikr-e-fasl-e-gul nahīñ aayā
magar ik phuul khilte apne andar dekh saktī huuñ
mujhe terī mohabbat ne ajab ik raushnī baḳhshī
maiñ is duniyā ko ab pahle se behtar dekh saktī huuñ
kināra DhūñDne kī chaah tak mujh meñ nahīñ hogī
maiñ apne ghar meñ ik aisā samundar dekh saktī huuñ
visāl-o-hijr ab yaksāñ haiñ vo manzil hai chāhat meñ
maiñ āñkheñ band kar ke tujh ko aksar dekh saktī huuñ
abhī tere sivā duniyā bhī hai maujūd is dil meñ
maiñ ḳhud ko kis tarah tere barābar dekh saktī huuñ
KHushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hun
teri aawaz ka chehra main chhu kar dekh sakti hun
abhi tere labon pe zikr-e-fasl-e-gul nahin aaya
magar ek phul khilte apne andar dekh sakti hun
mujhe teri mohabbat ne ajab ek raushni baKHshi
main is duniya ko ab pahle se behtar dekh sakti hun
kinara DhunDne ki chah tak mujh mein nahin hogi
main apne ghar mein ek aisa samundar dekh sakti hun
visal-o-hijr ab yaksan hain wo manzil hai chahat mein
main aankhen band kar ke tujh ko aksar dekh sakti hun
abhi tere siwa duniya bhi hai maujud is dil mein
main KHud ko kis tarah tere barabar dekh sakti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.