KHushi mili to ye aalam tha bad-hawasi ka
ḳhushī milī to ye 'ālam thā bad-havāsī kā
ki dhyān hī na rahā ġham kī be-libāsī kā
chamak uThe haiñ jo dil ke kalas yahāñ se abhī
guzar huā hai ḳhayāloñ kī dev-dāsī kā
guzar na jā yuñhī ruḳh pher kar salām to le
hameñ to der se dā'vā hai rū-shanāsī kā
ḳhudā ko maan ki tujh lab ke chūmne ke sivā
koī 'ilāj nahīñ aaj kī udāsī kā
gire paḌe hue pattoñ meñ shahr DhūñDtā hai
'ajīb taur hai is jangaloñ ke baasī kā
KHushi mili to ye 'alam tha bad-hawasi ka
ki dhyan hi na raha gham ki be-libasi ka
chamak uThe hain jo dil ke kalas yahan se abhi
guzar hua hai KHayalon ki dew-dasi ka
guzar na ja yunhi ruKH pher kar salam to le
hamein to der se da'wa hai ru-shanasi ka
KHuda ko man ki tujh lab ke chumne ke siwa
koi 'ilaj nahin aaj ki udasi ka
gire paDe hue patton mein shahr DhunDta hai
'ajib taur hai is jangalon ke basi ka
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 23)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.