aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail Thahra

Ameer Minai

ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail Thahra

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    ham-sar-e-zulf qad-e-hūr-e-shamā.il Thahrā

    laam ḳhuub alif madd-e-muqābil Thahrā

    dīda-e-tar se jo dāman meñ girā dil Thahrā

    bahte bahte ye safīna lab-e-sāhil Thahrā

    nazar rū-e-kitābī pe to kuchh dil Thahrā

    maktab-e-shauq bhī qur.ān manzil Thahrā

    nighat-e-gul se pareshān huā us dimāġh

    ḳhanda-e-gul na huā shor-e-anādil Thahrā

    najd se qais jo aayā mare zindāñ taraf

    der tak gosh-bar-āvāz-e-salāsil Thahrā

    husn jis tifl chamkā vo huā bā.is-e-qatl

    jis ne talvār sambhālī mirā qātil Thahrā

    ḳhat jo niklā ruḳh-e-jānāñ pe milā bosa-e-ḳhāl

    yahī daana faqat is kisht hāsil Thahrā

    alam ik nuqta jo mash.hūr thā ai josh-e-junūñ

    ġhaur se jo nazar nuqta-e-bātil Thahrā

    duur jab tak the taḌaptā thā meñ kaisā kaisā

    paas aa kar vo jo Thahre to mirā dil Thahrā

    kasrat-e-dāġh se gul-dasta banā dil to kyā

    zīnat-e-bāġh na ārā.ish-e-mahfil Thahrā

    dauḌtā qais bhī aatā hai nihāyat qarīb

    ik zarā naaqe ko ai sāhib-e-mahmil Thahrā

    dam jo betāb thā muddat se mire siine meñ

    teġh-e-qātil ke tale kuchh dam-e-bismil Thahrā

    ham baḌī duur se aa.e haiñ tumhārā hai ye haal

    ghar se darvāze tak aanā ka.ī manzil Thahrā

    ab tak aatī hai sadā turbat-e-lailā se 'amīr'

    sārbān ab to ḳhudā ke liye mahmil Thahrā

    ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail Thahra

    lam ka KHub alif madd-e-muqabil Thahra

    dida-e-tar se jo daman mein gira dil Thahra

    bahte bahte ye safina lab-e-sahil Thahra

    ki nazar ru-e-kitabi pe to kuchh dil Thahra

    maktab-e-shauq bhi quran ki manzil Thahra

    nighat-e-gul se pareshan hua us ka dimagh

    KHanda-e-gul na hua shor-e-anadil Thahra

    najd se qais jo aaya mare zindan ki taraf

    der tak gosh-bar-awaz-e-salasil Thahra

    husn jis tifl ka chamka wo hua bais-e-qatl

    jis ne talwar sambhaali mera qatil Thahra

    KHat jo nikla ruKH-e-jaanan pe mila bosa-e-KHal

    yahi dana faqat is kisht ka hasil Thahra

    alam ek nuqta jo mashhur tha ai josh-e-junun

    ghaur se ki jo nazar nuqta-e-baatil Thahra

    dur jab tak the taDapta tha mein kaisa kaisa

    pas aa kar wo jo Thahre to mera dil Thahra

    kasrat-e-dagh se gul-dasta bana dil to kya

    zinat-e-bagh na aaraish-e-mahfil Thahra

    dauDta qais bhi aata hai nihayat hi qarib

    ek zara naqe ko ai sahib-e-mahmil Thahra

    dam jo betab tha muddat se mere sine mein

    tegh-e-qatil ke tale kuchh dam-e-bismil Thahra

    hum baDi dur se aae hain tumhaara hai ye haal

    ghar se darwaze tak aana kai manzil Thahra

    ab tak aati hai sada turbat-e-laila se 'amir'

    sarban ab to KHuda ke liye mahmil Thahra

    Source:

    Deewan-e-Ameer (Pg. 54)

    • Author: Ameer Minai
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1922

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now