kisi bhi khet pe barse kahin ka ho jae
kisī bhī khet pe barse kahīñ kā ho jaa.e
ḳhudā kare ki ye bādal zamīñ kā ho jaa.e
du'ā karo vo sitāra zamīñ pe TuuT gire
hamāre saath rahe aur yahīñ kā ho jaa.e
'ajab nahīñ ki jahāñ ham gumān se nikleñ
vahīñ pe qatl dobāra yaqīñ kā ho jaa.e
ye chāhtā huuñ ki ab ke falak kā koī 'azāb
makāñ ke naam na utre makīñ kā ho jaa.e
maiñ us ke jism kā sab zahr pī ke mar jā.ūñ
agar vo saañp mirī āstīñ kā ho jaa.e
mire 'shakīl' ko pariyoñ ke des mat bhejo
'ajab nahīñ ki ye pāgal vahīñ kā ho jaa.e
kisi bhi khet pe barse kahin ka ho jae
KHuda kare ki ye baadal zamin ka ho jae
du'a karo wo sitara zamin pe TuT gire
hamare sath rahe aur yahin ka ho jae
'ajab nahin ki jahan hum guman se niklen
wahin pe qatl dobara yaqin ka ho jae
ye chahta hun ki ab ke falak ka koi 'azab
makan ke nam na utre makin ka ho jae
main us ke jism ka sab zahr pi ke mar jaun
agar wo sanp meri aastin ka ho jae
mere 'shakil' ko pariyon ke des mat bhejo
'ajab nahin ki ye pagal wahin ka ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.