kisi ko kaise dikhaun main apni raat ke khel
kisī ko kaise dikhā.ūñ maiñ apnī raat ke khel
jo merī zaat meñ hote haiñ kā.enāt ke khel
gunāh itne baḌhā.e ki pul hī toḌ diyā
pul-e-sirāt se khele pul-e-sirāt ke khel
khilāḌī ham haiñ magar kheltā hai aur koī
hamāre haath meñ kab haiñ hamāre haat ke khel
ham is bisāt pe ulTī taraf se baiThe haiñ
hamāre haath meñ aa.e haiñ saare maat ke khel
ham apne ḳhuuñ kī ravānī meñ she'r likhte haiñ
udhar vo khel rahe haiñ qalam davāt ke khel
badan bachāo ki ab ke badan kī baarī hai
ki ruuh khel chukī apne sab najāt ke khel
ye log maut se itne Dare hue haiñ ki bas
koī sikhā.e kahāñ tak inheñ hayāt ke khel
kisi ko kaise dikhaun main apni raat ke khel
jo meri zat mein hote hain kaenat ke khel
gunah itne baDhae ki pul hi toD diya
pul-e-siraat se khele pul-e-siraat ke khel
khilaDi hum hain magar khelta hai aur koi
hamare hath mein kab hain hamare hat ke khel
hum is bisat pe ulTi taraf se baiThe hain
hamare hath mein aae hain sare mat ke khel
hum apne KHun ki rawani mein she'r likhte hain
udhar wo khel rahe hain qalam dawat ke khel
badan bachao ki ab ke badan ki bari hai
ki ruh khel chuki apne sab najat ke khel
ye log maut se itne Dare hue hain ki bas
koi sikhae kahan tak inhen hayat ke khel
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 58)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.