kisi ne na jab dekha-bhaala mujhe
kisī ne na jab dekhā-bhālā mujhe
merī Thokaroñ ne sañbhālā mujhe
koī ġhaur se dekhtā hī nahīñ
bahut chubh rahā hai ujālā mujhe
na.e zā.iqoñ kā parastār huuñ
banā le na duniyā nivāla mujhe
girāyā thā tū ne nazar se jahāñ
vahīñ pe paḌā huuñ uThā lā mujhe
akelā milūñgā kisī dasht meñ
koī naam le kar bulā lā mujhe
khanak chābiyoñ kī sunāte haiñ log
dikhā kar tire ghar kā taalā mujhe
mire pīchhe-pīchhe jo chaltī rahī
usī bhiiḌ ne maar Daalā mujhe
faqat haath phailā ke merī taraf
mirī god meñ us ne paalā mujhe
kisi ne na jab dekha-bhaala mujhe
meri Thokaron ne sanbhaala mujhe
koi ghaur se dekhta hi nahin
bahut chubh raha hai ujala mujhe
nae zaiqon ka parastar hun
bana le na duniya niwala mujhe
giraya tha tu ne nazar se jahan
wahin pe paDa hun uTha la mujhe
akela milunga kisi dasht mein
koi nam le kar bula la mujhe
khanak chabiyon ki sunate hain log
dikha kar tere ghar ka tala mujhe
mere pichhe-pichhe jo chalti rahi
usi bhiD ne mar Dala mujhe
faqat hath phaila ke meri taraf
meri god mein us ne pala mujhe
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 36)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.