kisi taur duniya Thikane lagi
kisī taur duniyā Thikāne lagī
to andar kī duniyā nachāne lagī
ga.e the ki iz.hār kar deñge aaj
vo shādī kā joḌā dikhāne lagī
bahut duur Duubā hai koī jahāz
merī naav kyoñ Dagmagāne lagī
kahā maut se maiñ ne kab aa.egī
vo apnī hathelī dikhāne lagī
havā ne charāġhoñ se kī mā'zarat
magar jab 'adālat se jaane lagī
ḳhizāñ peḌ se khel kar thak ga.ī
to patte havā meñ uḌāne lagī
ba-mushkil khulā thā zarā āsmāñ
to andar se bauchhār aane lagī
ye laḌkī to dil jiit legī merā
tumhārī tarah muskurāne lagī
kisi taur duniya Thikane lagi
to andar ki duniya nachane lagi
gae the ki izhaar kar denge aaj
wo shadi ka joDa dikhane lagi
bahut dur Duba hai koi jahaz
meri naw kyon Dagmagane lagi
kaha maut se main ne kab aaegi
wo apni hatheli dikhane lagi
hawa ne charaghon se ki ma'zarat
magar jab 'adalat se jaane lagi
KHizan peD se khel kar thak gai
to patte hawa mein uDane lagi
ba-mushkil khula tha zara aasman
to andar se bauchhaar aane lagi
ye laDki to dil jit legi mera
tumhaari tarah muskurane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.