kiya hai hijr mein daman ko tar aahista-ahista
kiya hai hijr mein daman ko tar aahista-ahista
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
kiyā hai hijr meñ dāman ko taar āhista-āhista
huā huuñ ek se maiñ be-shumār āhista-āhista
ham ahl-e-hijr vahshat meñ kabhī maskan na badleñge
uThā leñge tamannāoñ kā baar āhista-āhista
bhale jaisī bhī mushkil ho safoñ meñ muntazir rahnā
vo karte haiñ ġhulāmoñ ko shumār āhista-āhista
yahāñ pe sabza-o-gul mustaqil bilkul nahīñ rahte
mire gulshan meñ aatī hai bahār āhista-āhista
abhī in pe tasallut hai ajab duniyā-e-vahshat kā
palaT ā.eñge tere jāñ-nisār āhista-āhista
hamārī zindagānī karb ke aalam meñ guzrī hai
hameñ hijrat ke lamhoñ se guzār āhista-āhista
mirī is girya-o-zārī kā 'jāmī' ḳhaas maqsad hai
bichhaḌte jā rahe haiñ mere yaar āhista-āhista
kiya hai hijr mein daman ko tar aahista-ahista
hua hun ek se main be-shumar aahista-ahista
hum ahl-e-hijr wahshat mein kabhi maskan na badlenge
uTha lenge tamannaon ka bar aahista-ahista
bhale jaisi bhi mushkil ho safon mein muntazir rahna
wo karte hain ghulamon ko shumar aahista-ahista
yahan pe sabza-o-gul mustaqil bilkul nahin rahte
mere gulshan mein aati hai bahaar aahista-ahista
abhi in pe tasallut hai ajab duniya-e-wahshat ka
palaT aaenge tere jaan-nisar aahista-ahista
hamari zindagani karb ke aalam mein guzri hai
hamein hijrat ke lamhon se guzar aahista-ahista
meri is girya-o-zari ka 'jami' KHas maqsad hai
bichhaDte ja rahe hain mere yar aahista-ahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.