koi hasin shai jo nazar se guzar gai
koī hasīn shai jo nazar se guzar ga.ī
ehsās kī fazāoñ meñ ḳhushbū bikhar ga.ī
vo dhuup jo chaḌhī thī fasīloñ pe tez tez
lamhoñ kī Dor thaam ke nīche utar ga.ī
din aaj kā havā kī tarah bhāgtā rahā
aur raat aa.ī aisī ki aa kar Thahar ga.ī
khiḌkī jo rah ga.ī thī khulī apne room kī
us ko galī kī tez havā band kar ga.ī
badlī se sar uThā.e hue chāñd kī nazar
beloñ ko chhedtī huī shahtūt par ga.ī
koi hasin shai jo nazar se guzar gai
ehsas ki fazaon mein KHushbu bikhar gai
wo dhup jo chaDhi thi fasilon pe tez tez
lamhon ki Dor tham ke niche utar gai
din aaj ka hawa ki tarah bhagta raha
aur raat aai aisi ki aa kar Thahar gai
khiDki jo rah gai thi khuli apne room ki
us ko gali ki tez hawa band kar gai
badli se sar uThae hue chand ki nazar
belon ko chhedti hui shahtut par gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.