kuchh bhi manzil se nahin lae hum
kuchh bhī manzil se nahīñ laa.e ham
apne hisse kā bhaTak aa.e ham
jab ta'alluq pe chalī baat kabhī
be-ta'alluq se nazar aa.e ham
ḳhush-numā yādeñ hī kitnī sī thiiñ
un ko bhī yaad na rakh paa.e ham
yahī honā thā hamārā anjām
apne hī paañv tale aa.e ham
vahī to ho ga.e dushman ik din
jin kī bātoñ meñ nahīñ aa.e ham
kuchh bhi manzil se nahin lae hum
apne hisse ka bhaTak aae hum
jab ta'alluq pe chali baat kabhi
be-ta'alluq se nazar aae hum
KHush-numa yaaden hi kitni si thin
un ko bhi yaad na rakh pae hum
yahi hona tha hamara anjam
apne hi panw tale aae hum
wahi to ho gae dushman ek din
jin ki baaton mein nahin aae hum
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 52)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.