kuchh charaghon ki mezbani hai
kuchh charāġhoñ kī mezbānī hai
aur bātin meñ nauha-ḳhvānī hai
har kisī par bahā nahīñ saktā
ashk hai aur ḳhāndānī hai
tez jhakkaḌ bujhā na pā.eñge
ye charāġhoñ kī ḳhush-gumānī hai
kis jazīre pe aa gayā huuñ maiñ
saañs lenā jahāñ girānī hai
aa.e mujh se duā.eñ le jaa.e
jis ne dil kī murād paanī hai
kār-e-duniyā meñ ġharq mat honā
ye kahānī hai aur faanī hai
raushnī kā maiñ dil dukhā na sakā
sab charāġhoñ kī baat maanī hai
ye zamīñ par jo husn dikhtā hai
ham faqīroñ kī mehrbānī hai
maiñ harā ho nahīñ sakā 'jāmī'
kis qadar bāñjh zindagānī hai
kuchh charaghon ki mezbani hai
aur baatin mein nauha-KHwani hai
har kisi par baha nahin sakta
ashk hai aur KHandani hai
tez jhakkaD bujha na paenge
ye charaghon ki KHush-gumani hai
kis jazire pe aa gaya hun main
sans lena jahan girani hai
aae mujh se duaen le jae
jis ne dil ki murad pani hai
kar-e-duniya mein gharq mat hona
ye kahani hai aur fani hai
raushni ka main dil dukha na saka
sab charaghon ki baat mani hai
ye zamin par jo husn dikhta hai
hum faqiron ki mehrbani hai
main hara ho nahin saka 'jami'
kis qadar banjh zindagani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.