Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh hamein chhuT bhi mil jae KHurafat ki ab

Nomaan Shauque

kuchh hamein chhuT bhi mil jae KHurafat ki ab

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    kuchh hameñ chhūT bhī mil jaa.e ḳhurāfāt ab

    ham jo mā'mūr haiñ tā.īd pe har baat ab

    apnī masrūfiyat aap aur baḌhāte jaa.eñ

    ham to 'arzī liye jaate haiñ mulāqāt ab

    hijr chāñd zarūrat se ziyāda raushan

    raunaqeñ aise baḌhāoge mirī raat ab

    naach kar thak chuke sab tere ḳharīde hue mor

    jhūTh fasl ko ummīd hai barsāt ab

    'adl kyā milnā hai kashkol bachā rah jaa.e

    sirf zanjīr hilāte raho ḳhairāt ab

    kuchh hamein chhuT bhi mil jae KHurafat ki ab

    hum jo ma'mur hain taid pe har baat ki ab

    apni masrufiyat aap aur baDhate jaen

    hum to 'arzi liye jate hain mulaqat ki ab

    hijr ka chand zarurat se ziyaada raushan

    raunaqen aise baDhaoge meri raat ki ab

    nach kar thak chuke sab tere KHaride hue mor

    jhuTh ki fasl ko ummid hai barsat ki ab

    'adl kya milna hai kashkol bacha rah jae

    sirf zanjir hilate raho KHairaat ki ab

    Source :
    • Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 126)
    • Author :Nomaan Shauque
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now