kuchh ranj to ghubar-e-safar se nikal gaya
kuchh ranj to ġhubār-e-safar se nikal gayā
achchhā huā ki aaj maiñ ghar se nikal gayā
maiñ ne lakīreñ khīñch rakhī thiiñ chahār samt
jaane vo shahsavār kidhar se nikal gayā
jis lamhe maiñ ne zindagī paa.ī thī ek baar
vo lamha mere shām-o-sahar se nikal gayā
hairat-sarā-e-‘ishq meñ dāḳhil huā thā maiñ
phir yuuñ huā ki apnī ḳhabar se nikal gayā
us kī jagah bharī haiñ ab āñkhoñ meñ hasrateñ
ik ḳhvāb thā jo dīda-e-tar se nikal gayā
kuchh ranj to ghubar-e-safar se nikal gaya
achchha hua ki aaj main ghar se nikal gaya
main ne lakiren khinch rakhi thin chahaar samt
jaane wo shahsawar kidhar se nikal gaya
jis lamhe main ne zindagi pai thi ek bar
wo lamha mere sham-o-sahar se nikal gaya
hairat-sara-e-‘ishq mein daKHil hua tha main
phir yun hua ki apni KHabar se nikal gaya
us ki jagah bhari hain ab aankhon mein hasraten
ek KHwab tha jo dida-e-tar se nikal gaya
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 74)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 76)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.