kya jald din bahaar ke ya-rab guzar gae
kyā jald din bahār ke yā-rab guzar ga.e
bijlī havā se pūchh rahī hai kidhar ga.e
shāyad isī ġharaz se chaḌhe the nigāh par
vo raah pā ke aañkh se dil meñ utar ga.e
va.ade kā naam lab pe na aa.e payām-bar
kahnā faqat yahī ki bahut din guzar ga.e
achchhoñ kā hai bigāḌ bhī behtar banāv se
bikhre to aur bhī tire gesū sañvar ga.e
ik jalva-gāh-e-husn thī mahshar na thā 'jalīl'
kyā kyā hasīñ hamārī nazar se guzar ga.e
kya jald din bahaar ke ya-rab guzar gae
bijli hawa se puchh rahi hai kidhar gae
shayad isi gharaz se chaDhe the nigah par
wo rah pa ke aankh se dil mein utar gae
wade ka nam lab pe na aae payam-bar
kahna faqat yahi ki bahut din guzar gae
achchhon ka hai bigaD bhi behtar banaw se
bikhre to aur bhi tere gesu sanwar gae
ek jalwa-gah-e-husn thi mahshar na tha 'jalil'
kya kya hasin hamari nazar se guzar gae
- Book : Kainat-e-Jalil Manakpuri (Pg. 262)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.