kyon udhar hi nikal paDa jae
kyoñ udhar hī nikal paḌā jaa.e
jis taraf le ke rāsta jaa.e
aa chuke baaġh meñ tamāshā.ī
bas bahut ho chukā khilā jaa.e
she'r to roz sunte rahte haiñ
aa.iye husn ko paḌhā jaa.e
taḳhliya chāhtā hai 'ishq janāb
aaj ḳhāmoshī ko sunā jaa.e
maut kī ek shakl hai ye bhī
niiñd ko Tālte rahā jaa.e
kal thā vaqt aap ke savāloñ kā
ab mujhe pūchhne diyā jaa.e
lafz bekār kī musībat haiñ
kyā likhā jaa.e kyā paḌhā jaa.e
kyon udhar hi nikal paDa jae
jis taraf le ke rasta jae
aa chuke bagh mein tamashai
bas bahut ho chuka khila jae
she'r to roz sunte rahte hain
aaiye husn ko paDha jae
taKHliya chahta hai 'ishq janab
aaj KHamoshi ko suna jae
maut ki ek shakl hai ye bhi
nind ko Talte raha jae
kal tha waqt aap ke sawalon ka
ab mujhe puchhne diya jae
lafz bekar ki musibat hain
kya likha jae kya paDha jae
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 37)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.