lahu mein Duba hua chand be-lihaf bhi ho
lahū meñ Duubā huā chāñd be-lihāf bhī ho
badan meñ reñgte saa.e kā inkishāf bhī ho
ye band āñkhoñ meñ sapne kahāñ se aate haiñ
ridā-e-nīñd meñ shāyad koī shigāf bhī ho
kabhī-kabhār koī rut ho bhīgne vaalī
kabhī-kabhār ye chehre kī gard saaf bhī ho
milā hai zaḳhm to is zaḳhm ke bharam ke liye
mire laboñ pe tabassum kā ik ġhilāf bhī ho
maiñ apne aap meñ bedār rahnā chāhtā huuñ
kabhī kabhī koī sāzish mire ḳhilāf bhī ho
mire rafīq takalluf ke dā.ere se nikal
ki ittifāq meñ thoḌā sā iḳhtilāf bhī ho
ye kyā ki merī har ik baat mustanad ho jaa.e
maza to jab hai ki logoñ ko inhirāf bhī ho
lahu mein Duba hua chand be-lihaf bhi ho
badan mein rengte sae ka inkishaf bhi ho
ye band aankhon mein sapne kahan se aate hain
rida-e-nind mein shayad koi shigaf bhi ho
kabhi-kabhaar koi rut ho bhigne wali
kabhi-kabhaar ye chehre ki gard saf bhi ho
mila hai zaKHm to is zaKHm ke bharam ke liye
mere labon pe tabassum ka ek ghilaf bhi ho
main apne aap mein bedar rahna chahta hun
kabhi kabhi koi sazish mere KHilaf bhi ho
mere rafiq takalluf ke daere se nikal
ki ittifaq mein thoDa sa iKHtilaf bhi ho
ye kya ki meri har ek baat mustanad ho jae
maza to jab hai ki logon ko inhiraf bhi ho
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 53)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.