Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lauT aae hain jaane wale

Shariq Kaifi

lauT aae hain jaane wale

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    lauT aa.e haiñ jaane vaale

    saare piiTh dikhāne vaale

    ik khūñTe se bāñdh ke mujh ko

    ġhā.eb haiñ Tahlāne vaale

    jaane ḳhud kis haal meñ hoñge

    terā kaam banāne vaale

    vo zaḳhmoñ se chuur musāfir

    shānoñ par Dah jaane vaale

    sikka sikka bikhar ga.e haiñ

    sab gullak khankāne vaale

    ek safar par jaane vaalā

    baaqī haath hilāne vaale

    phuul bhī kuchh haath aa.e lekin

    rango par Tarḳhāne vaale

    uupar vaalī jeb meñ rakhnā

    nusḳhe pāgal-ḳhāne vaale

    lauT aae hain jaane wale

    sare piTh dikhane wale

    ek khunTe se bandh ke mujh ko

    ghaeb hain Tahlane wale

    jaane KHud kis haal mein honge

    tera kaam banane wale

    wo zaKHmon se chur musafir

    shanon par Dah jaane wale

    sikka sikka bikhar gae hain

    sab gullak khankane wale

    ek safar par jaane wala

    baqi hath hilane wale

    phul bhi kuchh hath aae lekin

    rango par TarKHane wale

    upar wali jeb mein rakhna

    nusKHe pagal-KHane wale

    Source :
    • Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 117)
    • Author : Shariq Kaifi
    • Publication : Rekhta Publications (2022)
    • Edition : 3rd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now