log kahen diwana tujhko tu samjhe tu dana hai
log kaheñ dīvānā tujh ko tū samjhe tū daanā hai
yā to 'sadā' tū pāgal hai yā duniyā pāgal-ḳhāna hai
ḳhud chāhe samjheñ na samjheñ auroñ ko samjhānā hai
baañT rahā hai gyaan jagat ko ḳhud se jo an-jānā hai
mandir masjid donoñ meñ se kuchh bhī chunñā mushkil thā
shukr ḳhudā kā mai-ḳhvāroñ ne DhūñDh liyā mai-ḳhāna hai
jag hai māyā-jāl piyāre kah ga.e piir faqīr gurū
ye dhokā par baarī baarī har bande ko khānā hai
kis ko koseñ kis ko ro.eñ har jug meñ hai huā yahī
sach ko suulī jhuuT ko jhūmar ye dastūr purānā hai
court kachahrī meñ kyā hogā kaun likhegā rapaT yahāñ
jis ne qatl karāyā us kā hākim se yārānā hai
sab ko yahāñ insāf milegā ik din duniyā sudhregī
soch-soch kar aisā hī bas ham ko jī bahlānā hai
shor machāne se logoñ kī badlegī kyā raa.e 'sadā'
aaj talak kisī pāgal ne kyā ḳhud ko pāgal maanā hai
log kahen diwana tujh ko tu samjhe tu dana hai
ya to 'sada' tu pagal hai ya duniya pagal-KHana hai
KHud chahe samjhen na samjhen auron ko samjhana hai
banT raha hai gyan jagat ko KHud se jo an-jaana hai
mandir masjid donon mein se kuchh bhi chunna mushkil tha
shukr KHuda ka mai-KHwaron ne DhunDh liya mai-KHana hai
jag hai maya-jal piyare kah gae pir faqir guru
ye dhoka par bari bari har bande ko khana hai
kis ko kosen kis ko roen har jug mein hai hua yahi
sach ko suli jhuT ko jhumar ye dastur purana hai
court kachahri mein kya hoga kaun likhega rapaT yahan
jis ne qatl karaya us ka hakim se yarana hai
sab ko yahan insaf milega ek din duniya sudhregi
soch-soch kar aisa hi bas hum ko ji bahlana hai
shor machane se logon ki badlegi kya rae 'sada'
aaj talak kisi pagal ne kya KHud ko pagal mana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.