mail-e-sohbat-e-aghyar to hum hain tum kaun
mā.il-e-sohbat-e-aġhyār to ham haiñ tum kaun
kyuuñ burā maan ga.e yaar to ham haiñ tum kaun
kyuuñ rihā.ī kī duā karte ho tum hazrat-e-dil
un kī zulfoñ meñ giraftār to ham haiñ tum kaun
zāhido hashr ke din tum ko ḳhudā kyuuñ baḳhshe
vājiburrahm gunahgār to ham haiñ tum kaun
un kī āñkhoñ se mire sog meñ aañsū jo gire
zulf bolī ki azā-dār to ham haiñ tum kaun
dil-e-'muztar' kī vafāoñ se tumheñ kyā matlab
us kī har chiiz ke muḳhtār to ham haiñ tum kaun
mail-e-sohbat-e-aghyar to hum hain tum kaun
kyun bura man gae yar to hum hain tum kaun
kyun rihai ki dua karte ho tum hazrat-e-dil
un ki zulfon mein giraftar to hum hain tum kaun
zahido hashr ke din tum ko KHuda kyun baKHshe
wajiburrahm gunahgar to hum hain tum kaun
un ki aankhon se mere sog mein aansu jo gire
zulf boli ki aza-dar to hum hain tum kaun
dil-e-'muztar' ki wafaon se tumhein kya matlab
us ki har chiz ke muKHtar to hum hain tum kaun
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 254)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.