Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

matam bahut raha mujhe ashk-e-chakida ka

Naseem Dehlvi

matam bahut raha mujhe ashk-e-chakida ka

Naseem Dehlvi

MORE BYNaseem Dehlvi

    mātam bahut rahā mujhe ashk-e-chakīda

    āḳhir ko paas aa gayā nuur diida

    nām-firāq phir na liyā maiñ ne umr-bhar

    thā zā.iqa zabāñ pe azāb-e-chashīda

    ab vo mazā nahīñ lab-e-shīrīñ ke qand meñ

    chūsā huā hai ye kisī ḳhidmat-rasīda

    ai charḳh-e-pīr-zor javānī se dar-guzar

    ab paas chāhiye tujhe pusht-e-ḳhamīda

    abrū meñ ḳham jabīñ meñ shikan aañkh meñ ġhazab

    kyā mudda.ā hai qātil-e-ḳhanjar-kashīda

    daulat ġharaz na thī jo duā se huī husūl

    thā aur mudda.ā mire dast-e-kashīda

    ai sakinān-e-charḳh-e-muallā bacho bacho

    tūfāñ huā buland mire āb-dīda

    vo nā-tavāniyāñ haiñ ki jism-e-za.īf par

    jaama hai ankabūt ke dām-e-tanīda

    be-dīd diid meñ nahīñ aate kisī tarah

    ġham āshiyāñ hai tā.ir-e-rañg-parīda

    uḌte haiñ hosh koī bhalā kis tarah sune

    afsāna tere vahshī-e-az-ḳhud-ramīda

    o gul ḳhayāl hai araq-e-jism tire

    shīsha hai dil hamārā gulāb-e-chakīda

    yād-e-nigāh-e-mast se hai dil ko intishār

    paimāna hai ḳharāb sharāb-e-chakīda

    qātil ḳhudā se Dar havas-e-zab.h tā-kujā

    naala na sun kisī ke gulū-e-burīda

    mastī ke valvaloñ javānī meñ lutf hai

    piirī meñ dhyān chāhiye qadd-ḳhamīda

    jalve dikhā rahā hai ye farsh-e-zamurradīñ

    sabza mazār par hai giyāh-e-damīda

    chaḌhtī hai roz chādar-e-gul jalte haiñ charāġh

    ye Dher hai zarūr kisī barguzīda

    bāloñ ko ai 'nasīm' rañgoge ḳhizāb se

    sak ko asā banāoge pusht-e-ḳhamīda

    matam bahut raha mujhe ashk-e-chakida ka

    aaKHir ko pas aa hi gaya nur dida ka

    nam-firaq phir na liya main ne umr-bhar

    tha zaiqa zaban pe azab-e-chashida ka

    ab wo maza nahin lab-e-shirin ke qand mein

    chusa hua hai ye kisi KHidmat-rasida ka

    ai charKH-e-pir-zor jawani se dar-guzar

    ab pas chahiye tujhe pusht-e-KHamida ka

    abru mein KHam jabin mein shikan aankh mein ghazab

    kya muddaa hai qatil-e-KHanjar-kashida ka

    daulat gharaz na thi jo dua se hui husul

    tha aur muddaa mere dast-e-kashida ka

    ai sakinan-e-charKH-e-mualla bacho bacho

    tufan hua buland mere aab-dida ka

    wo na-tawaniyan hain ki jism-e-zaif par

    jama hai ankabut ke dam-e-tanida ka

    be-did did mein nahin aate kisi tarah

    gham aashiyan hai tair-e-rang-parida ka

    uDte hain hosh koi bhala kis tarah sune

    afsana tere wahshi-e-az-KHud-ramida ka

    o gul KHayal hai araq-e-jism ka tere

    shisha hai dil hamara gulab-e-chakida ka

    yaad-e-nigah-e-mast se hai dil ko intishaar

    paimana hai KHarab sharab-e-chakida ka

    qatil KHuda se Dar hawas-e-zabh ta-kuja

    nala na sun kisi ke gulu-e-burida ka

    masti ke walwalon ka jawani mein lutf hai

    piri mein dhyan chahiye qadd-KHamida ka

    jalwe dikha raha hai ye farsh-e-zamurradin

    sabza mazar par hai giyah-e-damida ka

    chaDhti hai roz chadar-e-gul jalte hain charagh

    ye Dher hai zarur kisi barguzida ka

    baalon ko ai 'nasim' rangoge KHizab se

    sak ko asa banaoge pusht-e-KHamida ka

    Source:

    Kulliyat-e-Naseem (Pg. 101)

    • Author: Naseem Dehlvi
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now