mahfil mein ab ke aao to aisi KHata na ho
mahfil meñ ab ke aao to aisī ḳhatā na ho
rañg-e-libās rañg-e-badan se sivā na ho
itnā to rañg pahle fazā meñ kabhī na thā
uḌtī huī kahīñ koī us kī qabā na ho
uljhan sī hone lagtī hai mere charāġh ko
kuchh din muqāble pe jo us ke havā na ho
saarī alāmateñ to haiñ āġhāz ishq kī
dekho to jism-o-jāñ meñ koī gul khilā na ho
mahfil mein ab ke aao to aisi KHata na ho
rang-e-libas rang-e-badan se siwa na ho
itna to rang pahle faza mein kabhi na tha
uDti hui kahin koi us ki qaba na ho
uljhan si hone lagti hai mere charagh ko
kuchh din muqable pe jo us ke hawa na ho
sari alamaten to hain aaghaz ishq ki
dekho to jism-o-jaan mein koi gul khila na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.