main ashkon ki zabani likh raha hun
maiñ ashkoñ kī zabānī likh rahā huuñ
mohabbat kī kahānī likh rahā huuñ
zamāne kī ravish likhnā hai mujh ko
huā huuñ paanī paanī likh rahā huuñ
varaq mahdūd haiñ arz-o-samā ke
maiñ rab kī mehrbānī likh rahā huuñ
bure vaqtoñ meñ jin ko yaad huuñ maiñ
unhīñ ko ḳhāndānī likh rahā huuñ
ḳhirad kī god meñ baiThā huā maiñ
junūñ kī lan-tarānī likh rahā huuñ
maiñ chaḌh kar maslahat ke parbatoñ par
baḳhīloñ ko bhī daanī likh rahā huuñ
tire baḳhshe hue zaḳhmoñ ko jānāñ
mohabbat kī nishānī likh rahā huuñ
maiñ ḳhvāboñ kī ghanī chhāñv meñ 'fārūq'
tasavvur ke ma'ānī likh rahā huuñ
main ashkon ki zabani likh raha hun
mohabbat ki kahani likh raha hun
zamane ki rawish likhna hai mujh ko
hua hun pani pani likh raha hun
waraq mahdud hain arz-o-sama ke
main rab ki mehrbani likh raha hun
bure waqton mein jin ko yaad hun main
unhin ko KHandani likh raha hun
KHirad ki god mein baiTha hua main
junun ki lan-tarani likh raha hun
main chaDh kar maslahat ke parbaton par
baKHilon ko bhi dani likh raha hun
tere baKHshe hue zaKHmon ko jaanan
mohabbat ki nishani likh raha hun
main KHwabon ki ghani chhanw mein 'faruq'
tasawwur ke ma'ani likh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.