main badan ke abad-abaad ka bashinda hun
maiñ badan ke abad-ābād kā bāshinda huuñ
kal jo thā aaj bhī huuñ aur vahī ā.inda huuñ
bārish-e-maut se khil uThtī hai miTTī merī
isī miTTī ke karishme ke sabab zinda huuñ
'ishq kī aag ne ghar phūñk rakhā hai merā
aur isī ḳhaak lagī aag meñ tābinda huuñ
jism-dar-jism jo dariyā-e-tasalsul hai ravāñ
usī dariyā-e-tasalsul kā numā.inda huuñ
maut ke haath pe bai'at hai zarā sī ye hayāt
apnī bai'at se na ḳhā.if huuñ na sharminda huuñ
kā.enāt ek baḌe saaz kā be-ant āhang
maiñ bhī chhoTā sā is āhang kā sāzinda huuñ
ek ik bujhtī huī aañkh ko raushan karnā
'farhat-ehsās' maiñ ik ḳhvāb kā kārinda huuñ
main badan ke abad-abaad ka bashinda hun
kal jo tha aaj bhi hun aur wahi aainda hun
barish-e-maut se khil uThti hai miTTi meri
isi miTTi ke karishme ke sabab zinda hun
'ishq ki aag ne ghar phunk rakha hai mera
aur isi KHak lagi aag mein tabinda hun
jism-dar-jism jo dariya-e-tasalsul hai rawan
usi dariya-e-tasalsul ka numainda hun
maut ke hath pe bai'at hai zara si ye hayat
apni bai'at se na KHaif hun na sharminda hun
kaenat ek baDe saz ka be-ant aahang
main bhi chhoTa sa is aahang ka sazinda hun
ek ek bujhti hui aankh ko raushan karna
'farhat-ehsas' main ek KHwab ka karinda hun
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 77)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.