main to ek baadal ka TukDa hun uDa le chal mujhe
maiñ to ik bādal kā TukḌā huuñ uḌā le chal mujhe
tū jahāñ chāhe vahāñ mauj-e-havā le chal mujhe
ḳhud hī niile pāniyoñ meñ phir bulā legā koī
sāhiloñ kī ret tak ai naqsh-e-pā le chal mujhe
tujh ko is se kyā maiñ amrit huuñ ki ik paanī kī buuñd
chārāgar sūkhī zabānoñ tak zarā le chal mujhe
kab tak in saḌkoñ pe bhaTkūñgā bagūloñ kī tarah
maiñ bhī kuchh āñkhoñ kī ThanDak huuñ sabā le chal mujhe
ajnabī rastoñ meñ āḳhir dhuul hī detī hai saath
jaane vaale apne dāman se lagā le chal mujhe
band haiñ is shahr-e-nā-pursāñ ke darvāze tamām
ab mire ghar ai mirī maañ kī du'ā le chal mujhe
main to ek baadal ka TukDa hun uDa le chal mujhe
tu jahan chahe wahan mauj-e-hawa le chal mujhe
KHud hi nile paniyon mein phir bula lega koi
sahilon ki ret tak ai naqsh-e-pa le chal mujhe
tujh ko is se kya main amrit hun ki ek pani ki bund
chaaragar sukhi zabanon tak zara le chal mujhe
kab tak in saDkon pe bhaTkunga bagulon ki tarah
main bhi kuchh aankhon ki ThanDak hun saba le chal mujhe
ajnabi raston mein aaKHir dhul hi deti hai sath
jaane wale apne daman se laga le chal mujhe
band hain is shahr-e-na-pursan ke darwaze tamam
ab mere ghar ai meri man ki du'a le chal mujhe
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 28)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.