Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha

Mohsin Naqvi

ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    ab ke bārish meñ to ye kār-e-ziyāñ honā thā

    apnī kachchī bastiyoñ ko be-nishāñ honā thā

    kis ke bas meñ thā havā vahshatoñ ko roknā

    barg-e-gul ko ḳhaak sho.ale ko dhuāñ honā thā

    jab koī samt-e-safar tai thī na hadd-e-rahguzar

    ai mire rah-rau safar to rā.egāñ honā thā

    mujh ko ruknā thā use jaanā thā agle moḌ tak

    faisla ye us ke mere darmiyāñ honā thā

    chāñd ko chalnā thā bahtī sīpiyoñ ke saath saath

    mo.ajiza ye bhī tah-e-āb-e-ravāñ honā thā

    maiñ na.e chehroñ pe kahtā thā na.ī ġhazleñ sadā

    merī is aadat se us ko bad-gumāñ honā thā

    shahr se bāhar vīrānī basānā thī mujhe

    apnī tanhā.ī pe kuchh to mehrbāñ honā thā

    apnī āñkheñ dafn karnā thiiñ ġhubār-e-ḳhāk meñ

    ye sitam bhī ham pe zer-e-āsmāñ honā thā

    be-sadā bastī rasmeñ thiiñ yahī 'mohsin' mire

    maiñ zabāñ rakhtā thā mujh ko be-zabāñ honā thā

    ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha

    apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha

    kis ke bas mein tha hawa ki wahshaton ko rokna

    barg-e-gul ko KHak shoale ko dhuan hona hi tha

    jab koi samt-e-safar tai thi na hadd-e-rahguzar

    ai mere rah-rau safar to raegan hona hi tha

    mujh ko rukna tha use jaana tha agle moD tak

    faisla ye us ke mere darmiyan hona hi tha

    chand ko chalna tha bahti sipiyon ke sath sath

    moajiza ye bhi tah-e-ab-e-rawan hona hi tha

    main nae chehron pe kahta tha nai ghazlen sada

    meri is aadat se us ko bad-guman hona hi tha

    shahr se bahar ki virani basana thi mujhe

    apni tanhai pe kuchh to mehrban hona hi tha

    apni aankhen dafn karna thin ghubar-e-KHak mein

    ye sitam bhi hum pe zer-e-asman hona hi tha

    be-sada basti ki rasmen thin yahi 'mohsin' mere

    main zaban rakhta tha mujh ko be-zaban hona hi tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now