Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzil dhuan-dhuan hai Dagar ghair-motabar

Manohar Lal  Hadi

manzil dhuan-dhuan hai Dagar ghair-motabar

Manohar Lal Hadi

MORE BYManohar Lal Hadi

    manzil dhuāñ-dhuāñ hai Dagar ġhair-mo'tabar

    shāyad hai zindagī safar ġhair-mo'tabar

    lamhoñ fauj karo DaT kar muqābla

    hotā hai be-dilī mafar ġhair-mo'tabar

    saudāgar-e-zamīr na kar ruuh ziyāñ

    hai terā jām-e-sūd-o-zarar ġhair-mo'tabar

    yuuñ to yugoñ talak koī manzil na pāoge

    chhāñTī hai tum ne rāhguzar ġhair-mo'tabar

    vo bhī bhaTak rahā hai use bhī milī na raah

    dil ġhair-mo'tabar hai nazar ġhair-mo'tabar

    pahuñche vahāñ to sirf añdhere khaḌe mile

    niklā dayār-e-'ilm-o-ḳhabar ġhair-mo'tabar

    samjhe koī ye raaz to haadī batā.ūñ bhī

    hai raat be-sabāt sahar ġhair-mo'tabar

    manzil dhuan-dhuan hai Dagar ghair-mo'tabar

    shayad hai zindagi ka safar ghair-mo'tabar

    lamhon ki fauj ka karo DaT kar muqabla

    hota hai be-dili ka mafar ghair-mo'tabar

    saudagar-e-zamir na kar ruh ka ziyan

    hai tera jam-e-sud-o-zarar ghair-mo'tabar

    yun to yugon talak koi manzil na paoge

    chhanTi hai tum ne rahguzar ghair-mo'tabar

    wo bhi bhaTak raha hai use bhi mili na rah

    dil ghair-mo'tabar hai nazar ghair-mo'tabar

    pahunche wahan to sirf andhere khaDe mile

    nikla dayar-e-'ilm-o-KHabar ghair-mo'tabar

    samjhe koi ye raaz to hadi bataun bhi

    hai raat be-sabaat sahar ghair-mo'tabar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now