masruf har ghaDi hai jo apni ana ke sath
masrūf har ghaḌī hai jo apnī anā ke saath
kaise mile vo aatmā parmātmā ke saath
har baar kuchh talab bhī hai hamd-o-sanā ke saath
ye bandagī hai yā ki tijārat ḳhudā ke saath
achchhe-bure kā ilm hī tujh ko nahīñ hai jab
mat chheḌ-chhāḌ kar tū ḳhudā kī razā ke saath
maanā tū ai tabīb hai apne hunar meñ taaq
lab pe duā bhī chāhiye dast-e-shifā ke saath
sūraj nahīñ ki Dar ke maiñ bādal meñ jā chhupūñ
dīpak huuñ laḌ marūñgā muḳhālif havā ke saath
tan to qabā hai tan se hai hastī tirī judā
itnā hai kyoñ lagāv purānī qabā ke saath
dair-o-haram ke shor meñ mumkin nahīñ 'sadā'
ḳhalvat meñ chal ke milte haiñ aao ḳhudā ke saath
masruf har ghaDi hai jo apni ana ke sath
kaise mile wo aatma parmatma ke sath
har bar kuchh talab bhi hai hamd-o-sana ke sath
ye bandagi hai ya ki tijarat KHuda ke sath
achchhe-bure ka ilm hi tujh ko nahin hai jab
mat chheD-chhaD kar tu KHuda ki raza ke sath
mana tu ai tabib hai apne hunar mein taq
lab pe dua bhi chahiye dast-e-shifa ke sath
suraj nahin ki Dar ke main baadal mein ja chhupun
dipak hun laD marunga muKHalif hawa ke sath
tan to qaba hai tan se hai hasti teri juda
itna hai kyon lagaw purani qaba ke sath
dair-o-haram ke shor mein mumkin nahin 'sada'
KHalwat mein chal ke milte hain aao KHuda ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.