maze lun dard ke main thoDe thoDe zulm sah-sah kar
maze luuñ dard ke maiñ thoḌe thoḌe zulm sah-sah kar
sitam kiije to tham tham kar jafā kiije to rah-rah kar
mile the aaj muddat meñ bahut ro.e bahut taḌpe
vo dard-e-ishq sun sun kar ham apnā dard kah-kah kar
huī hai sham-e-mahfil to sharīk-e-girya-e-āshiq
tujhe ai qulqul-e-mīnā kahā thā kis ne qah-qah kar
chhupāyā zulf ne chehra to shoḳhī ne kiyā zāhir
hazāroñ baar niklā vasl kī shab chāñd gah-gah kar
taḌapne meñ maza aatā hai us kam-baḳht ke ham ko
agar dil yaas se baiThā ubhārā ham ne kah-kah kar
ye jaanā thā na ā.eñge to kyoñ jaane diyā un ko
yahī ai 'dāġh' pachhtāvā mujhe aatā hai rah-rah kar
maze lun dard ke main thoDe thoDe zulm sah-sah kar
sitam kije to tham tham kar jafa kije to rah-rah kar
mile the aaj muddat mein bahut roe bahut taDpe
wo dard-e-ishq sun sun kar hum apna dard kah-kah kar
hui hai sham-e-mahfil to sharik-e-girya-e-ashiq
tujhe ai qulqul-e-mina kaha tha kis ne qah-qah kar
chhupaya zulf ne chehra to shoKHi ne kiya zahir
hazaron bar nikla wasl ki shab chand gah-gah kar
taDapne mein maza aata hai us kam-baKHt ke hum ko
agar dil yas se baiTha ubhaara hum ne kah-kah kar
ye jaana tha na aaenge to kyon jaane diya un ko
yahi ai 'dagh' pachhtawa mujhe aata hai rah-rah kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.