mere aangan ko mahka do
mere āñgan ko mahkā do
phir jī chāhe mujh ko bhulā do
o raste ke chalte raahī
maiñ bhī chalūñgā mujh ko du'ā do
o jī ko le jaane vaalo
phir mujh ko jiine kī sazā do
merī dhartī bahut hai pyāsī
bādal ban kar ras barsā do
soyā soyā sā lagtā hai
mujh ko chheḌo mujh ko jagā do
mujh ko niiñd nahīñ aatī hai
apnī chādar mujhe uḌhā do
chhoTī sohbateñ lambī shāmeñ
aao in kā farq miTā do
mere sangī mere sāthī
duur paḌe haiñ un se milā do
mere aangan ko mahka do
phir ji chahe mujh ko bhula do
o raste ke chalte rahi
main bhi chalunga mujh ko du'a do
o ji ko le jaane walo
phir mujh ko jine ki saza do
meri dharti bahut hai pyasi
baadal ban kar ras barsa do
soya soya sa lagta hai
mujh ko chheDo mujh ko jaga do
mujh ko nind nahin aati hai
apni chadar mujhe uDha do
chhoTi sohbaten lambi shamen
aao in ka farq miTa do
mere sangi mere sathi
dur paDe hain un se mila do
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 38)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.