mere arman wo sudhaare yun ke yunhin rah gae
mere armāñ vo sudhāre yuuñ ke yūñhīñ rah ga.e
hausle saare ke saare yuuñ ke yūñhīñ rah ga.e
jo duā māñgī vo phir vāpas na aa.ī hijr meñ
haath ham apne pasāre yuuñ ke yūñhīñ rah ga.e
jaan lene kā to va.ada aaj puurā ho gayā
aur sab va.ade tumhāre yuuñ ke yūñhīñ rah ga.e
vaqt-e-zīnat sun ke vo merī pareshānī kā haal
apne gesū be-sañvāre yuuñ ke yūñhīñ rah ga.e
de ke dil un ko na dekhā aur ko 'muztar' kabhī
sab hasīñ joban ubhāre yuuñ ke yūñhīñ rah ga.e
mere arman wo sudhaare yun ke yunhin rah gae
hausle sare ke sare yun ke yunhin rah gae
jo dua mangi wo phir wapas na aai hijr mein
hath hum apne pasare yun ke yunhin rah gae
jaan lene ka to wada aaj pura ho gaya
aur sab wade tumhaare yun ke yunhin rah gae
waqt-e-zinat sun ke wo meri pareshani ka haal
apne gesu be-sanware yun ke yunhin rah gae
de ke dil un ko na dekha aur ko 'muztar' kabhi
sab hasin joban ubhaare yun ke yunhin rah gae
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 250)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.