mere dil ko wo but-e-dil-KHwah jo chahe kare
mere dil ko vo but-e-dil-ḳhvāh jo chāhe kare
ab to de Daalā use allāh jo chāhe kare
shaiḳh kī mantiq ho yā chashm-e-fusūñ-sāz-e-butāñ
sīdhā-sāda huuñ mujhe gumrāh jo chāhe kare
dekh kar pothī barahman kahte haiñ is 'ahd meñ
shādī to āsāñ nahīñ haañ byaah jo chāhe kare
ḳharch kī tafsīl pūchhūñgā na māñgūñgā hisāb
le le vo but kul mirī tanḳhvāh jo chāhe kare
achchhe achchhe phañs ga.e haiñ naukrī ke jaal meñ
sach ye hai afzūnī-e-tanḳhvāh jo chāhe kare
bā-asar honā to hai mauqūf dil ke rang par
josh meñ yuuñ aa ke 'akbar' aah jo chāhe kare
mere dil ko wo but-e-dil-KHwah jo chahe kare
ab to de Dala use allah jo chahe kare
shaiKH ki mantiq ho ya chashm-e-fusun-saz-e-butan
sidha-sada hun mujhe gumrah jo chahe kare
dekh kar pothi barahman kahte hain is 'ahd mein
shadi to aasan nahin han byah jo chahe kare
KHarch ki tafsil puchhunga na mangunga hisab
le le wo but kul meri tanKHwah jo chahe kare
achchhe achchhe phans gae hain naukri ke jal mein
sach ye hai afzuni-e-tanKHwah jo chahe kare
ba-asar hona to hai mauquf dil ke rang par
josh mein yun aa ke 'akbar' aah jo chahe kare
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 64)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.