mere hi dam se mehr-o-wafa ka nishan hai ab
mere hī dam se mehr-o-vafā kā nishāñ hai ab
tujh sā agar nahīñ hai to mujh sā kahāñ hai ab
is haal ko pahuñch ga.iiñ dil kī ḳharābiyāñ
terā makāñ hai ab na ḳhudā kā makāñ hai ab
jaatī hai aadhī raat magar is kā kyā javāb
ghabrā ke vo ye kahte haiñ vaqt-e-azāñ hai ab
siine se mere dast-e-tasallī uThā.iye
ye bhī dil-e-nahīf ko bār-e-garāñ hai ab
dekho zarā sī sharm ne sab kuchh miTā diyā
vo aañkh vo nigāh vo chitvan kahāñ hai ab
kyā lutf-e-dostī ki nahīñ lutf-e-dushmanī
dushman ko bhī jo dekhiye puurā kahāñ hai ab
tum ko yaqīñ nahīñ to na ho is kā kyā ilaaj
kam-baḳht 'dāġh' tum se bahut bad-gumāñ hai ab
mere hi dam se mehr-o-wafa ka nishan hai ab
tujh sa agar nahin hai to mujh sa kahan hai ab
is haal ko pahunch gain dil ki KHarabiyan
tera makan hai ab na KHuda ka makan hai ab
jati hai aadhi raat magar is ka kya jawab
ghabra ke wo ye kahte hain waqt-e-azan hai ab
sine se mere dast-e-tasalli uThaiye
ye bhi dil-e-nahif ko bar-e-garan hai ab
dekho zara si sharm ne sab kuchh miTa diya
wo aankh wo nigah wo chitwan kahan hai ab
kya lutf-e-dosti ki nahin lutf-e-dushmani
dushman ko bhi jo dekhiye pura kahan hai ab
tum ko yaqin nahin to na ho is ka kya ilaj
kam-baKHt 'dagh' tum se bahut bad-guman hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.