meri aankhon mein kirchiyan rakh de
merī āñkhoñ meñ kirchiyāñ rakh de
ret ke ghar meñ āñdhiyāñ rakh de
mere ḳhvāboñ ko toḌ kar koī
merī āñkhoñ meñ kirchiyāñ rakh de
yā koī ḳhvāb de nigāhoñ ko
yā darīche pe uñgliyāñ rakh de
ek jhoñkā havā kā yuuñ aa.e
khol kar saarī khiḌkiyāñ rakh de
aane vaale musāfiroñ ke liye
rāste meñ nishāniyāñ rakh de
mere hoñThoñ pe ḳhāmushī hai bahut
in gulāboñ pe titliyāñ rakh de
aglā mausam subūt māñgegā
in daraḳhtoñ kī pattiyāñ rakh de
ab javānī hisāb māñgtī hai
mere chehre pe jhurriyāñ rakh de
meri aankhon mein kirchiyan rakh de
ret ke ghar mein aandhiyan rakh de
mere KHwabon ko toD kar koi
meri aankhon mein kirchiyan rakh de
ya koi KHwab de nigahon ko
ya dariche pe ungliyan rakh de
ek jhonka hawa ka yun aae
khol kar sari khiDkiyan rakh de
aane wale musafiron ke liye
raste mein nishaniyan rakh de
mere honThon pe KHamushi hai bahut
in gulabon pe titliyan rakh de
agla mausam subut mangega
in daraKHton ki pattiyan rakh de
ab jawani hisab mangti hai
mere chehre pe jhurriyan rakh de
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 78)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.