meri aankhon mein wo aaya mujhko tar karne laga
merī āñkhoñ meñ vo aayā mujh ko tar karne lagā
sab 'ilāqe ḳhvāb ke zer-o-zabar karne lagā
ek din vo bhī nikal aayā bhare bāzār se
rafta rafta maiñ bhī tanhā.ī ko ghar karne lagā
yuuñ huā us ne bas apne paañv kī jhāḌī thī dhuul
maiñ to us kūche meñ phir shām-o-sahar karne lagā
kis ke nāḳhun ne khurach Daalā hai saare jism ko
kaun hai jo merī dīvāroñ meñ dar karne lagā
bas kisī ko saañs ke qarze chukāne the mujhe
zindagī karnī na thī mujh ko magar karne lagā
meri aankhon mein wo aaya mujh ko tar karne laga
sab 'ilaqe KHwab ke zer-o-zabar karne laga
ek din wo bhi nikal aaya bhare bazar se
rafta rafta main bhi tanhai ko ghar karne laga
yun hua us ne bas apne panw ki jhaDi thi dhul
main to us kuche mein phir sham-o-sahar karne laga
kis ke naKHun ne khurach Dala hai sare jism ko
kaun hai jo meri diwaron mein dar karne laga
bas kisi ko sans ke qarze chukane the mujhe
zindagi karni na thi mujh ko magar karne laga
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 77)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 73)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.