meri basti ki koi tishna-dahani dekhe
merī bastī kī koī tishna-dahānī dekhe
muddateñ guzrīñ kisī aañkh meñ paanī dekhe
jaag jaa.e to bulā letā hai sahrā us ko
so.e to ḳhvāb meñ dariyā kī ravānī dekhe
aa gayā ghar to mujhe jaanā hai bistar kī taraf
ab kise taab ki ye hijrat-e-sānī dekhe
ik tabassum se koī 'umr guzāre kaise
kab talak tark-e-ta'alluq kī nishānī dekhe
mere alfāz ne ījād kiyā hai us ko
jo bhī dekhe use ab merī zabānī dekhe
meri basti ki koi tishna-dahani dekhe
muddaten guzrin kisi aankh mein pani dekhe
jag jae to bula leta hai sahra us ko
soe to KHwab mein dariya ki rawani dekhe
aa gaya ghar to mujhe jaana hai bistar ki taraf
ab kise tab ki ye hijrat-e-sani dekhe
ek tabassum se koi 'umr guzare kaise
kab talak tark-e-ta'alluq ki nishani dekhe
mere alfaz ne ijad kiya hai us ko
jo bhi dekhe use ab meri zabani dekhe
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 108)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.