mere mazi ke sondhe-sondhe-pan pe war karti hai
mire maazī ke soñdhe-soñdhe-pan pe vaar kartī hai
na.e malbūs kī ḳhushbū mujhe bīmār kartī hai
ye fahm-e-dil-gazīda kis maqām-e-āgahī par hai
mujhe bāb-e-junūñ kā markazī kirdār kartī hai
ḳhasāre kī talāfī ke liye darkār naqd-e-jāñ
mohabbat goshvārā phir nayā tayyār kartī hai
shikāyat meñ bhī ham us kī razā kā paas rakhte haiñ
mashiyyat kab faqīroñ ko ḳhudā-be-zār kartī hai
mujhe hī khīñchtī hai kā.enātī dā.era kah kar
ki merī zaat mujh ko nuqta-e-parkār kartī hai
mere mazi ke sondhe-sondhe-pan pe war karti hai
nae malbus ki KHushbu mujhe bimar karti hai
ye fahm-e-dil-gazida kis maqam-e-agahi par hai
mujhe bab-e-junun ka markazi kirdar karti hai
KHasare ki talafi ke liye darkar naqd-e-jaan
mohabbat goshwara phir naya tayyar karti hai
shikayat mein bhi hum us ki raza ka pas rakhte hain
mashiyyat kab faqiron ko KHuda-be-zar karti hai
mujhe hi khinchti hai kaenati daera kah kar
ki meri zat mujh ko nuqta-e-parkar karti hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 65)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.