mere qarib na aa hausla baDha na mera
mire qarīb na aa hausla baḌhā na mirā
ki thak chukā hai tire bojh se ye shāna mirā
bas ek lamhe kī ḳhātir Thahar gayā thā koī
rukā paḌā hai usī roz se zamāna mirā
jo phir rahā huuñ maiñ yuuñ dar-ba-dar to ab shāyad
use gavāra nahīñ shahr meñ Thikāna mirā
ye maut mujh pe baḌe tanz kastī rahtī hai
ki zindagī se ta'āruf hai ġhā.ebāna mirā
mere qarib na aa hausla baDha na mera
ki thak chuka hai tere bojh se ye shana mera
bas ek lamhe ki KHatir Thahar gaya tha koi
ruka paDa hai usi roz se zamana mera
jo phir raha hun main yun dar-ba-dar to ab shayad
use gawara nahin shahr mein Thikana mera
ye maut mujh pe baDe tanz kasti rahti hai
ki zindagi se ta'aruf hai ghaebana mera
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 92)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 82)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.