meri ruh tan se juda ho gai
mirī ruuh tan se judā ho ga.ī
kisī ne na jaanā ki kyā ho ga.ī
bahut duḳhtar-e-raz thī rangīñ-mizāj
nazar milte hī āshnā ho ga.ī
marīz-e-mohabbat tirā mar gayā
ḳhudā kī taraf se davā ho ga.ī
butoñ ko mohabbat na hotī mirī
ḳhudā kā karam ho gayā ho ga.ī
ishāra kiyā baiThne kā mujhe
'ināyat kī aaj intihā ho ga.ī
ye thī qīmat-e-rizq TuuTe jo daañt
ġharaz kauḌī-kauḌī adā ho ga.ī
davā kyā ki vaqt-e-du’ā bhī nahīñ
tirī hālat 'akbar' ye kyā ho ga.ī
meri ruh tan se juda ho gai
kisi ne na jaana ki kya ho gai
bahut duKHtar-e-raz thi rangin-mizaj
nazar milte hi aashna ho gai
mariz-e-mohabbat tera mar gaya
KHuda ki taraf se dawa ho gai
buton ko mohabbat na hoti meri
KHuda ka karam ho gaya ho gai
ishaara kiya baiThne ka mujhe
'inayat ki aaj intiha ho gai
ye thi qimat-e-rizq TuTe jo dant
gharaz kauDi-kauDi ada ho gai
dawa kya ki waqt-e-du’a bhi nahin
teri haalat 'akbar' ye kya ho gai
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 51)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.