muddai KHush ki hai wo mard yagana paida
mudda.ī ḳhush ki hai vo mard yagāna paidā
aur hameñ chaah kare ham sā zamāna paidā
har fasāne meñ haqīqat kā koī shā.iba hai
har haqīqat se bil-āḳhir hai fasāna paidā
har javāñ-qalb kisī shoḳh-nazar kī zad meñ
ye vo naḳhchīr kare aap nishāna paidā
aañkh ke vasf se bhī husn numāyāñ hai magar
ishq ke dam se to hai ā.ina-ḳhāna paidā
ho muqaddar meñ agar husn-e-tabī.at kā sila
aap kar lete haiñ hālāt bahāna paidā
tā.ir-e-shauq-e-humā vo jo kare baal kushā
ho bayābān-e-laq-o-daq meñ ḳhazāna paidā
muddai KHush ki hai wo mard yagana paida
aur hamein chah kare hum sa zamana paida
har fasane mein haqiqat ka koi shaiba hai
har haqiqat se bil-aKHir hai fasana paida
har jawan-qalb kisi shoKH-nazar ki zad mein
ye wo naKHchir kare aap nishana paida
aankh ke wasf se bhi husn numayan hai magar
ishq ke dam se to hai aaina-KHana paida
ho muqaddar mein agar husn-e-tabiat ka sila
aap kar lete hain haalat bahana paida
tair-e-shauq-e-huma wo jo kare baal kusha
ho bayaban-e-laq-o-daq mein KHazana paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.