mujhko sarshaar kiye rakhti hai ek manas-gandh
mujh ko sarshār kiye rakhtī hai ik mānas-gandh
merā mā'shūq parī-zād nahīñ ho saktā
terī āzādī kī tahrīk havas-kārī hai
banda-e-‘ishq to āzād nahīñ ho saktā
maiñ to bas ḳhvāb dikhā detā huuñ tā'mīroñ ke
kisī tā'mīr kī buniyād nahīñ ho saktā
ḳhaak ke chaak kā raqqās hai 'farhat-ehsās'
charba-e-chehra-e-ajdād nahīñ ho saktā
mujh ko sarshaar kiye rakhti hai ek manas-gandh
mera ma'shuq pari-zad nahin ho sakta
teri aazadi ki tahrik hawas-kari hai
banda-e-‘ishq to aazad nahin ho sakta
main to bas KHwab dikha deta hun ta'miron ke
kisi ta'mir ki buniyaad nahin ho sakta
KHak ke chaak ka raqqas hai 'farhat-ehsas'
charba-e-chehra-e-ajdad nahin ho sakta
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 31)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.