mujh mein hai jo darwesh wo mar jae to achchha
mujh meñ hai jo darvesh vo mar jaa.e to achchhā
duniyā mujhe duniyā hī nazar aa.e to achchhā
dobāra kahīñ taaza na ho jaa.eñ mire zaḳhm
sote meñ tirā shahr guzar jaa.e to achchhā
bahlā.ūñgā kab tak maiñ use jhūTī chamak se
sone kā ye paanī bhī utar jaa.e to achchhā
hote haiñ baḌī 'umr ke apne bahut āzār
ye zaḳhm javānī meñ hī bhar jaa.e to achchhā
duniyā ke savālāt pe ḳhāmosh raheñ ham
donoñ hī ke ghar ek ḳhabar jaa.e to achchhā
vahshī ko vahāñ lā ke junūñ chhoḌ gayā hai
ghar jaa.e to achchhā nahīñ ghar jaa.e to achchhā
mujh mein hai jo darwesh wo mar jae to achchha
duniya mujhe duniya hi nazar aae to achchha
dobara kahin taza na ho jaen mere zaKHm
sote mein tera shahr guzar jae to achchha
bahlaunga kab tak main use jhuTi chamak se
sone ka ye pani bhi utar jae to achchha
hote hain baDi 'umr ke apne bahut aazar
ye zaKHm jawani mein hi bhar jae to achchha
duniya ke sawalat pe KHamosh rahen hum
donon hi ke ghar ek KHabar jae to achchha
wahshi ko wahan la ke junun chhoD gaya hai
ghar jae to achchha nahin ghar jae to achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.