mujhse jo tu har gam pe yun bol raha hai
mujh se jo tū har gaam pe yuuñ bol rahā hai
dar-asl tirā jahl-e-darūñ bol rahā hai
maiñ huuñ tirī har baat kī tafsīl kā tālib
aur tū hai ki har baat pe huuñ bol rahā hai
ik fard hai mahbūs-e-fusūñ-sāzī-e-vahshat
ik shaḳhs ḳhirad ko bhī junūñ bol rahā hai
qātil ko mukāfāt-e-‘amal mil ke rahegī
maqtūl kā har qatra-e-ḳhūñ bol rahā hai
vo apne garebān meñ bhī jhāñk ke dekhe
jo aaj mujhe ḳhvār-o-zabūñ bol rahā hai
maiñ maslahatan aaj zarā chup jo huuñ 'sāqib'
ik shaḳhs yahāñ had se fuzūñ bol rahā hai
mujh se jo tu har gam pe yun bol raha hai
dar-asl tera jahl-e-darun bol raha hai
main hun teri har baat ki tafsil ka talib
aur tu hai ki har baat pe hun bol raha hai
ek fard hai mahbus-e-fusun-sazi-e-wahshat
ek shaKHs KHirad ko bhi junun bol raha hai
qatil ko mukafat-e-‘amal mil ke rahegi
maqtul ka har qatra-e-KHun bol raha hai
wo apne gareban mein bhi jhank ke dekhe
jo aaj mujhe KHwar-o-zabun bol raha hai
main maslahatan aaj zara chup jo hun 'saqib'
ek shaKHs yahan had se fuzun bol raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.